Mujhe Teri Nazar Lyrics - Alka Yagnik, Udit Narayan

Mujhe Teri Nazar lyrics, the song is sung by Alka Yagnik, Udit Narayan from Waah! Tera Kya Kehna (2002). The music of Mujhe Teri Nazar Love track is composed by Jatin Pandit, Lalit Pandit while the lyrics are penned by Sameer.

Mujhe teri nazar ne aashiq banaya sanam
Is jahan ke deewane sab aashiqon ki kasam
Chaahe din ho chaahe raatein
Karta bas hoon teri baatein jaanejaan
Mujhe teri nazar ne aashiq banaya sanam
Is jahan ke deewane sab aashiqon ki kasam

Pyaar ke vaade sabhi jo main tod do
Kya karogi tum agar daaman chhod do
Yaar mere khudkhushi main kar jaaongi
Bewafaayi na sahoongi mar jaaongi
Bewafa main nahin tujhko mujhpe hai bharosa
Kaise doonga tujhko dhoka na na
Mujhe teri nazar ne aashiq banaya sanam
Is jahan ke deewane sab aashiqon ki kasam

bharatlyrics.com

Chal rahi har saans par tera naam hai
Pyaar karna bas tujhe mera kaam hai
Dekh teri chaahaton mein kya ho gaya
Mein tere khwaabon khayalon mein kho gaya
Hamnasheen zindagi tere baahon mein guzaroon
Tujhko dhadkan mein utaaroon haan re haan

Mujhe teri nazar ne aashiq banaya sanam
Is jahan ke deewane sab aashiqon ki kasam
Chaahe din ho chaahe raatein
Karta bas hoon teri baatein jaanejaan
Mujhe teri nazar ne aashiq banaya sanam
Is jahan ke deewane sab aashiqon ki kasam.

Mujhe Teri Nazar Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download