Phool Chaman Se Lyrics - Mohammed Aziz

Phool Chaman Se lyrics, the song is sung by Mohammed Aziz from Charnon Ki Saugandh (1988). Phool Chaman Se Sad soundtrack was composed by Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal) with lyrics written by Anand Bakshi.

Chand gagan se phool chaman se
Rah nahi sakta dur
Yahi hai reet yahi dastur
Yahi hai reet yahi dastur
Deep se jyoti seep se
Moti milne par majbur
Yahi hai reet yahi dastur
Yahi hai reet yahi dastur

Jaise kache kanch ke darpan
Aise hai ye pyar ke bandhan
Jaise kache kanch ke darpan
Aise hai ye pyar ke bandhan
Tod sake na chhod sake
Na bade bade magrur
Yahi hai reet yahi dastur
Yahi hai reet yahi dastur

Jeevan sathi sath na chhode
Jeevan sathi sath na chhode
Ek duje ka hath na chhode
Ek duje ka hath na chhode
Bhul hui to chot lagi
To hoga dard zaroor
Yahi hai reet yahi dastur
Yahi hai reet yahi dastur

Log kare bhagwan ki pooja
Log kare bhagwan ki pooja
Pyar hai kya bhagwan hai duja
Pyar hai kya bhagwan hai duja
Pyar wo pooja ek mein
Duja diye mein jaise noor
Yahi hai reet yahi dastur
Yahi hai reet yahi dastur

bharatlyrics.com

Chand gagan se phool chaman se
Rah nahi sakta dur
Yahi hai reet yahi dastur
Yahi hai reet yahi dastur
Deep se jyoti seep se
Moti milne par majbur
Yahi hai reet yahi dastur
Yahi hai reet yahi dastur.

Phool Chaman Se Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *