Suniye Huzoor Pyar Lyrics - Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt), Shiv Dayal Batish

Suniye Huzoor Pyar lyrics, the song is sung by Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt), Shiv Dayal Batish from Surajmukhi (1950). Suniye Huzoor Pyar Happy soundtrack was composed by Bhagatram Batish, Husnlal Batish with lyrics written by Abid Gulrez.

Suniye huzoor pyar ka
Charcha na kijiye
Aur aap bhi to pyar se
Dekha na kijiye
Suniye huzoor pyar ka
Charcha na kijiye

Dil dar raha hai pyar mein
Afsana ban na jaaye
Dil dar raha hai pyar mein
Afsana ban na jaaye
Uljhan mein aa pada hai
Yeh deewana ban na jaaye
Hardum mere khayal
Mein aaya na kijiye
Suniye huzoor pyar ka
Charcha na kijiye

bharatlyrics.com

Anjaan banke mujhse na
Nazre churaiye
Dil par na mere is
Tarah bijli giraiye
Aisa na kijiye aji
Aisa na kijiye
Suniye huzoor pyar ka
Charcha na kijiye

Mere gareeb dil ka sahara
Tum hi to ho
Mere gareeb dil ka sahara
Tum hi to ho
Mera naseeb meri tamanna
Tumhi to ho
Yu mujhse door reh ke
Sataya na kijiye
Suniye huzoor pyar ka
Charcha na kijiye

Hai aarzoo ke pyar ki
Duniya basaye hum
Hum aap ke hai aap ko
Apna banaye hum
Inkar karke dil
Mera toda na kijiye
Suniye huzoor pyar ka
Charcha na kijiye.

Suniye Huzoor Pyar Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download