Tu Phir Se Aana Lyrics - Raftaar, Karma, Salim Merchant

TU PHIR SE AANA LYRICS: The song is sung by Raftaar, Karma and Salim Merchant under Bar’ish Ep label. TU PHIR SE AANA song was composed by Raftaar, with lyrics written by Karma and Raftaar.

Tu Phir Se Aana Lyrics

Tu phir se aana

bharatlyrics.com

Bhar mastakon pe le chale
Jo pustako se door
Panape jis zameen pe
Uss zameen pe maa bhi majdoor
Mann se nasht tan pe kasht
Raat khane mein hai choor sang loon
Yeh gareebi ka kasoor
Aur jo noor na banenge
Bache kood mein milenge

Nasoor se pale jo
Kaise soorme banenge
Kuch woh phool jo khilenge
Kuch ko school na milenge
Kuch ke paav do chilenge
Chup woh dhool mein milenge
Jiske paet mein anaaj na
Woh kis dharam ka hai bhala
Ik bharam mein jeeta woh ki
Kab garam ho ek tawa

Kis karam ki maar hai
Ahaar inka bas hawa
Na milti maa ko ek dava
Pita sava mein gumshuda
Ik dafa socho desh band tha
Wo chal padi 8 meel pehle ghar se
Gir ke dhar pe mar padi

Jeeta naan balika ko
Jeeti na jo ek kadi
Woh aafan hai ya jal chuki
Ye sochta me har ghadi

Tu phir se aana muskaan banke
Mere ghar mein chota mahmaan banke
Tu phir se aana muskaan banke
Aur has ke jeena meri jaan banke
Banke

Pet mein aag lagi hai
Par paani bhi toh paas nahi
Chote hain kadam kaafi
Jawani bhi to paas nahi
Woh thak chuke itna
Patri pe hi so jayein
Par sulane wali
Maa ki kahani bhi toh paas nahi
Jo ghar pe hain woh khush hain
Jo road pe woh puchein
Ke ghar ki chat milegi kab?
Kahan pe jaake lu chain?
Jab maa chhodne aayi thi
To ek din mein pahuche the
Ab wapas jaane mein
Mujhko lagre hain din kyu 6?

Ab sab dhundhla lagra
Nahi bachi hai taakat
Ab so hi jata hoon
Agle janam mein lunga daawat
Bas maa ko batla dena
Ki thoda door hi tha main
Hawa mein khushboo lele
Milne tak lele raahat
Aur jo kehte hain ke marne par hum
Ek lakh denge
Maano 16 maut aayi
Aur ho gaye 16 lakh
Upar shikaayat karunga
Ab wo hisaab lenge
Jo ghar tak chhod dete
To bach jaati 16 laash

Tu phir se aana.

Tu Phir Se Aana Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download