Koi Aashiq To Koi Deewana Lyrics - Kavita Krishnamurthy, S. P. Balasubrahmanyam, Sadhana Sargam, Sudesh Bhonsle

Koi Aashiq To Koi Deewana lyrics, the song is sung by Kavita Krishnamurthy, S. P. Balasubrahmanyam, Sadhana Sargam, Sudesh Bhonsle from Betaaj Badshah (1994). Koi Aashiq To Koi Deewana Love soundtrack was composed by Anand Shrivastav, Milind Shrivastav with lyrics written by Sameer.

Pyaar toh hai ik khaali botal,
Dil hai ek tuta paimaana
Ghunt jeher ka pita jaaye,
Log kahein jisako deewana
Aa aa aa aa aa……..

bharatlyrics.com

Koyi aashiq toh koyi deewana bana
Koyi aashiq toh koyi deewana bana
Koyi aashiq toh koyi deewana bana
Pyaar jab bhi huwa ik
Fasaana bana, fasaana bana
Koyi aashiq toh koyi deewana bana
Koyi aashiq toh koyi deewana bana
Pyaar jab bhi huwa ik
Fasaana bana, fasaana bana

Kori thi ulfat ki kitaabein,
Are hamane bada ehsaan kiya
Chaahat ke inn afsaano ko
Hamane lahu se rang diya
Kitani jaane gayi kitane rusawa huye
Kitani jaane gayi kitane rusawa huye
Tamaashe mohabbat mein
Kya kya huye, kya kya huye
Na bacha koyi har dil nishaana bana
Na bacha koyi har dil nishaana bana
Pyaar jab bhi huwa ik
Fasaana bana, fasaana bana

Deewaar agar majbut ho toh
Aandhi bhi yahaan ruk jaati hai
Taakat ke aage duniya ki
Har ik shai chhup jaati hai
Jung-e-ulfat mein toh log marte nahi
Jung-e-ulfat mein toh log marte nahi
Phir bhi maane nahi aahein
Bharate rahe, bharate rahe
Ishq kurbaaniyon ka taraaana bana
Ishq kurbaaniyon ka taraaana bana
Pyaar jab bhi huwa ik
Fasaana bana, fasaana bana
Koyi aashiq toh koyi deewaana bana
Koyi aashiq toh koyi deewaana bana
Pyaar jab bhi huwa ik
Fasaana bana, fasaana bana.

Koi Aashiq To Koi Deewana Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download