Lakshya (Title) Lyrics - Shankar Mahadevan

Lakshya (Title) lyrics, the song is sung by Shankar Mahadevan from Lakshya (2004). The music of Lakshya (Title) Philosophical track is composed by Ehsaan Noorani, Loy Mendonsa, Shankar Mahadevan while the lyrics are penned by Javed Akhtar.

Haan yehi rasta hai
Tera tune ab jaana hai
Haan yehi rasta hai
Tera tune ab jaana hai
Haan yehi sapna hai
Tera tune pehchaana hai

Haan yehi rasta hai
Tera tune ab jaana hai
Haan yehi sapna hai
Tera tune pehchaana hai
Tujhe ab ye dikhaana hai
Roke tujhko aandhiyaan
Ya zameen aur aasmaan
Paayega jo lakshya hai tera
Lakshya toh har haal mein paana hai

Mushkil koyi aajaaye toh
Parbat koyi takraaye toh
Taaqat koyi dikhlaaye toh
Toofaan koyi mandlaaye toh
Mushkil koyi aajaaye toh
Parbat koyi takraaye toh
Barse chaahe ambar se aag
Lipte chaahe pairon se laakh
Barse chaahe ambar se aag
Lipte chaahe pairon se laakh
Paayega jo lakshya hai tera
Lakshya toh har haal mein paana hai

bharatlyrics.com

Himmat se jo koyi chale
Dharti hille qadmon tale
Kya dooriyaan kya faasle
Manzil lage aake gale
Himmat se jo koyi chale
Dharti hille qadmon tale
Tu chal yunhi ab sub-o-shaam
Rukna jhukna nahin tera kaam
Tu chal yunhi ab sub-o-shaam
Rukna jhukna nahin tera kaam
Paayega jo lakshya hai tera
Lakshya toh har haal mein paana hai

Haan yehi rasta hai
Tera tune ab jaana hai
Haan yehi sapna hai
Tera tune pehchaana hai
Tujhe ab ye dikhaana hai.

Lakshya (Title) Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download