Mann Pagle Sapan Dikhaaye Lyrics - Naseem Akhtar

Mann Pagle Sapan Dikhaaye lyrics, the song is sung by Naseem Akhtar from Keemat (1946). The music of Mann Pagle Sapan Dikhaaye Playful track is composed by Naushad Ali while the lyrics are penned by Majrooh Sultanpuri.

Mann pagle sapan dikhaaye
Mann joothe deep jalaaye aey
Mann pagle sapan dikhaaye

bharatlyrics.com

Dipak ki lau jhoom rahi hai
Andhiyaari munh choom rahi hai
Dipak ki lau jhoom rahi hai
Andhiyaari munh choom rahi hai
Bhor ke hote hote hi aakhir
Bhor ke hote hote hi aakhir
Sisak sisak bujh jaaye
Mann pagle sapan dikhaaye
Mann joothe deep jalaaye aey
Mann pagle sapan dikhaaye

Jharnaa pathhar tod ke nikle
Sagar mein kho jaaye
Raat ke aansoo
Maang mein bhar ke
Bholi kali muskaaye
Jharnaa pathhar tod ke nikle
Sagar mein kho jaaye
Raat ke aansoo
Maang mein bhar ke
Bholi kali muskaaye ab
Kaun ise samjhaaye
Mann pagle sapan dikhaaye
Mann joothe deep jalaaye aey
Mann pagle sapan dikhaaye

Jis ka jeevan us ka sapna
Kaun huaa hai jag mein apna
Jis ka jeevan us ka sapna
Kaun huaa hai jag mein apna
Raat gayi roti hain shabnam
Phool se prem rachaaye
Raat gayi roti hain shabnam
Phool se prem rachaaye
Ye sapna tut na jaaye
Mann pagle sapan dikhaaye

Mann Pagle Sapan Dikhaaye Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download