Wo Koi Aur Na Tha Lyrics - Ustad Ghulam Ali

Wo Koi Aur Na Tha lyrics, the song is sung by Ustad Ghulam Ali from Parchhaiyan (1997). The music of Wo Koi Aur Na Tha Ghazal track is composed by Ustad Ghulam Ali while the lyrics are penned by Ahmed Nadeem Qasmi.

Wo koi aur na tha chand khushq patte the

Shajar se tut ke jo fasl e gul pe roye the

Abhi abhi tumhe socha to kuchh na yaad aaya

Abhi abhi to ham ik dusre se bichhade the
Shajar se tut ke jo fasl e gul pe roye the
Wo koi aur na tha chand khushq patte the

Tamaam umr wafa ke gunahagar rahe
Tamaam umr wafa ke gunahagar rahe
Ye aur baat ke ham aadami to achhe the
Shajar se tut ke jo fasl e gul pe roye the
Wo koi aur na tha chand khushq patte the

bharatlyrics.com

Nadim jo bhi mulaqat thi adhuri thi
Nadim jo bhi mulaqat thi adhuri thi
Ke ek chehare ke pichhe hazaar chehare the
Shajar se tut ke jo fasl e gul pe roye the
Wo koi aur na tha chand khushq patte the
Wo koi aur na tha chand khushq patte the

Wo Koi Aur Na Tha Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download