Do Dilo Ko Yeh Duniya Lyrics - Manju Das

Do Dilo Ko Yeh Duniya lyrics, the song is sung by Manju Das from Chand (1944). The music of Do Dilo Ko Yeh Duniya Sad track is composed by Bhagatram Batish, Husnlal Batish while the lyrics are penned by Qamar Jalalabadi.

Do dilo ko yeh duniya milne hi nahi deti
Do dilo ko yeh duniya milne hi nahi deti
Aashao ki kaliyo ko khilane hi nahi deti
Aashao ki kaliyo ko khilane hi nahi deti

bharatlyrics.com

Ik bag mein kya dekha
Ik bag mein kya dekha
Bulbul wahan rota tha
Ik bag mein kya dekha
Bulbul wahan rota tha
Aur pas khada mali
Kuchh har pirota tha
Aur pas khada mali
Kuchh har pirota tha

Dil chir key ik phooll kaa
Dil chir key ik phooll kaa
Kush kitna woh hota tha
Bulbul tha tadap jata
Jab sui chabhota tha
Dukh sah naa saka bulbul
Dukh sah naa saka bulbul
Kuchh kah naa saka bulbul
Phir behne lage aansoo aur
Kehne lage aansoo
Phir behne lage aansoo aur
Kehne lage aansoo, kya?
Do dilo ko yeh duniya milne hi nahi deti
Aashao ki kaliyo ko khilane hi nahi deti
Do dilo ko yeh duniya milne hi nahi deti

Tum mujhase yeh phuchho ge
Tum mujhase yeh phuchho ge
Kya phooll ki halat thi
Rutha huwa mali tha
Bigadi huyi kismat thi
Rutha huwa mali tha
Bigadi huyi kismat thi
Aankho mein toh aansoo the
Aankho mein toh aansoo
The bechain tabiyat thi
Sunsan tha dil usaka
Barabad muhabbat thi

Bulbul se juda ho kar
Bulbul se juda ho kar
Mali se kafa ho kar
Mali se kafa ho kar
Kanton mein laga rahane aur
Phooll laga kehne
Kanton mein laga rahane aur
Phooll laga kehne, kya?
Do dilo ko yeh duniya
Milne hi nahi deti
Aashao ki kaliyo ko
Khilane hi nahi deti
Do dilo ko yeh duniya
Milne hi nahi deti.

Do Dilo Ko Yeh Duniya Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download